Shri Santosha Ma Chalisa

Shri Santosha Ma Chalisa

Chaupaii
Jai yug-yug ki Adi shakti,
jag men prachalit hai nav bhakt.
Adi, madhya aur avasana,
teri gati vidhi koi na jana.
Nirmal shradha men khush hoti,
thode men santusht ho jati.
Kali men nam dharyo Santoshi,
agni tulya pratyaksha-vishekhi.
Kala, gyan, bal, vidya, datri,
tum sam saral sukhadan hindhatri.
Sakal charachar tum se chalte
bhut-pret yamdut sinharte.
Dushta dalan sanhar karni,
Mata tum Brahmanda dharini.
Sarasvati, Lakshmi aur Kali,
amit shakti ki khan nirali.
Tumhare sharan gahe jo koi
mano kamana purna hoi.
Tum Ganesh ki man kanya,
tumse dharti ho gai dhanya.
Riddhi, siddhi, hai tumhari mata,
mangalmai vardana ke data.
Brahma, Vishnu , Mahesh, Trimaya,
us ka bal tujh men hai samay.
Sur par kanchan mukut suhata,
sundar ratnasamuh dikhata.
Madhur-manohar mukhda komal,
pushpamal aur shyamal kuntal.
Alankar sohit hain ang men,
navya divya tan meru rang men.
Sundar vastra men mala rakhti,
darshak ke man vash men karti hai.
Ga trilakh da dhare do hath,
chatur bhuji ko tekahu matha.
Sanmukh amritbhari surahi,
sath kamdhenu manchahi.
Svarna kalash rahta hai age,
bhakton ke saubhag ya hain jage.
Tumhare bhaktibhav jo pave,
ajar amar jag men ho jave.
Namo namo, jagtaran hari,
dukh daridra taro mahtari.
Shukravar din ati anukula,
Santoshi vrata mangalmula.
Bahuvidhi mat ki puja kar,
Santoshi vrata mangalmula.
Gud aur chana prasad chadhave,
nirhak ek jun manave.
Savadhan us din yah rakkhe,
bhul se khatta deve na chakhe.
Nahin to matu kupitu ho jati,
bansh sahit santan nasati.
Shukravar solah vrat rakhe,
udya pan-utsah se manave.
Phir to ichchha puran hoi,
matu kripa se de na hoi.
Adbhut devi chamatkari ni,
pal men chinta pidha harini.
Japar kripa matu ki hoi,
jit sake na usko koi.
Dhanvivek sukhshanti pradayini,
is yug ki navpran vidhayini.
Tum sam devi kou nahin,
dekh liya main Tribhuvan mahin.
Dukh ati pai bahu bichari,
pati vyog ki vah dukhyari.
Nariyal-khopar pikar pani,
bhus kiroti khai abhagini.
Santoshi ka vrat jo kinhin,
pati sahit vaibhav pa linha.
Pida, chinta katahu marta,
ashtsiddhi navanidhi ki data.
Santoshi upvas kare jo,
sukh sampati ka bhog kare vo.
Vahan vahan sab thaur samai,
tumhari mahima kahi na jai.
Man vanchhit var pavai kvari,
pain suhag sadhva sannari.
Sukh dhan jan sab manokamna,
purna hogi satya janana.
Path sava sau karai jo koi,
mitai kasht sukh-sampati hoi.
Doha
Santoshi sankat haran,
he chamatkar ki murti.
Grah badha ko dur